khata hai ishq to kya ye khata zaroori hai | ख़ता है इश्क़ तो क्या ये ख़ता ज़रूरी है

  - Aditya

khata hai ishq to kya ye khata zaroori hai
sukhan-varon ke liye ye dava zaroori hai

udaan bharne ko gar aasmaan zaroori hai
musaafiron ko bhi to raasta zaroori hai

kise mili hai bina thokron ke hi manzil
safar ko zakhm ka bhi zaayka zaroori hai

faqat kahaaniyon se ilm kaun paaya hai
har ek shakhs ko ik haadsa zaroori hai

bayaan dil ke jo hoton pe sab dikha jaaye
sabhi ke chehron pe vo aaina zaroori hai

museebaton ke siva kaun yaar hai mera
faqat inheen se mera raabta zaroori hai

ख़ता है इश्क़ तो क्या ये ख़ता ज़रूरी है
सुख़न-वरों के लिए ये दवा ज़रूरी है

उड़ान भरने को गर आस्मां जरूरी है
मुसाफिरों को भी तो रास्ता जरूरी है

किसे मिली है बिना ठोकरों के ही मंज़िल
सफ़र को ज़ख्म का भी ज़ायका ज़रूरी है

फ़क़त कहानियों से इल्म कौन पाया है
हर एक शख़्स को इक हादसा ज़रूरी है

बयान दिल के जो होटों पे सब दिखा जाए
सभी के चहरों पे वो आइना ज़रूरी है

मुसीबतों के सिवा कौन यार है मेरा
फ़क़त इन्हीं से मिरा राब्ता ज़रूरी है

  - Aditya

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aditya

As you were reading Shayari by Aditya

Similar Writers

our suggestion based on Aditya

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari