samandar kah gaye hain aur ik saahil banaayenge | समंदर कह गए हैैं और इक साहिल बनाएंगे

  - Aditya

samandar kah gaye hain aur ik saahil banaayenge
safeenon ke liye ham ik nayi manzil banaayenge

ise lekar chalunga to safar poora nahin hoga
bahut bhari hai ye patthar ise ab dil banaayenge

muhabbat gar ibadat hai bahut aasaan kar denge
muhabbat khel hai to phir ise mushkil banaayenge

kisi se bhi nahin hai rabt to mayus kyun baitheen
ham apni aur tanhaai ki ik mehfil banaayenge

समंदर कह गए हैैं और इक साहिल बनाएंगे
सफीनों के लिए हम इक नई मंजिल बनाएंगे

इसे लेकर चलूंगा तो सफ़र पूरा नहीं होगा
बहुत भारी है ये पत्थर इसे अब दिल बनाएंगे

मुहब्बत गर इबादत है बहुत आसान कर देंगे
मुहब्बत खेल है तो फिर इसे मुश्किल बनाएंगे

किसी से भी नहीं है रब्त तो मायूस क्यूं बैठें
हम अपनी और तन्हाई की इक महफ़िल बनाएंगे

  - Aditya

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aditya

As you were reading Shayari by Aditya

Similar Writers

our suggestion based on Aditya

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari