zindagi
zindagi tujhe nibhaate nibhaate badi door nikal aaye ham
betaab hasraton ko be shakl chhod aaye ham
mahakta tha jo sir se paanv tak khwahishon ke itr mein
us shaks ko waqt ke jaal mein uljha chhod aaye ham
zindagi tujhe nibhaate nibhaate badi door nikal aaye ham
udte the kabhi armaanon ke par lagaake
magar ab to khwaabon mai bhi be khauf ud na paayein ham
jab jab socha ki mood jaayein ham
khud ko zimmedaari ki bediyo mein jakda paayein ham
zindagi tujhe nibhaate nibhaate badi door nikal aaye ham
aur ab ye aalam hai ki
armaan na tha jin khwahishon ka
aaj unhin ka khareedaar ban bazaar mai aaye ham
zindagi tujhe nibhaate nibhaate badi door nikal aaye ham
ज़िंदगी
ज़िंदगी तुझे निभाते निभाते बडी दूर निकल आए हम
बेताब हसरतों को बे शक्ल छोड़ आए हम
महकता था जो सिर से पांव तक ख़्वाहिशों के इत्र में
उस शक्स को वक़्त के जाल में उलझा छोड़ आए हम
ज़िंदगी तुझे निभाते निभाते बडी दूर निकल आए हम
उड़ते थे कभी अरमानों के पर लगाके
मगर अब तो ख़्वाबों मै भी बे खौफ उड ना पाएं हम
जब जब सोचा कि मूड़ जाएं हम
खुद को जिम्मेदारी की बेड़ियों में जकड़ा पाएं हम
ज़िंदगी तुझे निभाते निभाते बडी दूर निकल आए हम
और अब ये आलम है कि
अरमान ना था जिन ख़्वाहिशों का
आज उन्हीं का खरीदार बन बाज़ार मै आए हम
ज़िंदगी तुझे निभाते निभाते बडी दूर निकल आए हम
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Akash Srivastava
As you were reading Dar Shayari Shayari