abhi aaya hoon apne chaak daaman ko rafu karke | अभी आया हूँ अपने चाक दामन को रफ़ू करके

  - Anis shah anis

abhi aaya hoon apne chaak daaman ko rafu karke
hai chhodaa muflisi ne yun mujhe be-aabroo karke

dukhi khud ko banaya hai khushi ki aarzoo karke
sukoon khoya hai khud maine sukoon ki justajoo karke

munaasib hai abhi rishte hawaale waqt ke kar den
badhaaye faasle hain aur hamne guftagoo karke

adavat ahle-duniya se badhaate phir rahe ho tum
milega kya bhala tumko zamaane ko adoo karke

ghazal kehna mera bhi to ibadat se nahin hai kam
mere ash'aar mein alfaaz aate hai wuzoo karke

anees ungli uthaane ki zaroorat ab nahi tumko
hain dhundhe aib khud mein aaine ko roo-b-roo karke

अभी आया हूँ अपने चाक दामन को रफ़ू करके
है छोड़ा मुफ़लिसी ने यूँ मुझे बे-आबरू करके

दुखी ख़ुद को बनाया है ख़ुशी की आरज़ू करके
सुकूँ खोया है ख़ुद मैने सुकूँ की जुस्तजू करके

मुनासिब है अभी रिश्ते हवाले वक़्त के कर दें
बढ़ाये फ़ासले हैं और हमने गुफ़्तगू करके

अदावत अहले-दुनिया से बढ़ाते फिर रहे हो तुम
मिलेगा क्या भला तुमको ज़माने को अदू करके

ग़ज़ल कहना मेरा भी तो इबादत से नहीं है कम
मेरे अश्आर में अल्फ़ाज़ आते है वुज़ू करके

'अनीस' उँगली उठाने की ज़रूरत अब नही तुमको
हैं ढूँढ़े ऐब ख़ुद में आईने को रू-ब-रू करके

  - Anis shah anis

Muflisi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anis shah anis

As you were reading Shayari by Anis shah anis

Similar Writers

our suggestion based on Anis shah anis

Similar Moods

As you were reading Muflisi Shayari Shayari