kaash koi khwaab aisa maut hone tak na aata | काश कोई ख़्वाब ऐसा मौत होने तक न आता

  - Chetan

kaash koi khwaab aisa maut hone tak na aata
neend mein jaana jise tha mere sone tak na aata

jaan meri zindagi tere bina kya khaak hoti
pyaar karna bhi tera vo pyaar khone tak na aata

zor de kar jab kaha tha maan lete baat meri
bhool jaate tum mujhe main yaad rone tak na aata

main yahan tak aa gaya hoon tab mujhe kaandha mila hai
main wahin marta koi palkein bhigone tak na aata

naam patthar ka nahin tha to nadi naali bani thi
aaj pooja kar raha kal pa dubone tak na aata

maan jaata main ki tumne faaslon se hai wafa ki
kaash aankhon se nikal kar ashk kone tak na aata

काश कोई ख़्वाब ऐसा मौत होने तक न आता
नींद में जाना जिसे था मेरे सोने तक न आता

जान मेरी ज़िन्दगी तेरे बिना क्या ख़ाक होती
प्यार करना भी तेरा वो प्यार खोने तक न आता

ज़ोर दे कर जब कहा था मान लेते बात मेरी
भूल जाते तुम मुझे मैं याद रोने तक न आता

मैं यहाँ तक आ गया हूँ तब मुझे काँधा मिला है
मैं वहीं मरता कोई पलकें भिगोने तक न आता

नाम पत्थर का नहीं था तो नदी नाली बनी थी
आज पूजा कर रहा कल पा डुबोने तक न आता

मान जाता मैं कि तुमने फ़ासलों से है वफ़ा की
काश आँखों से निकल कर अश्क कोने तक न आता

  - Chetan

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chetan

As you were reading Shayari by Chetan

Similar Writers

our suggestion based on Chetan

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari