usne vaada kiya tha aane ka
tha magar vo bhi is zamaane ka
shukr hai ghar koi nahin aaya
jab thikaana nahin tha khaane ka
kyun khushi ho agar milen ab ham
zakham gahra hai door jaane ka
kya tujhe chahta hai ab koi
ya pata mil gaya khazaane ka
ab muqaabil nahin hain ham dono
ye hai pal raabta nibhaane ka
vo sahaara nahin raha mera
so bahaana hai dagmagane ka
tez baarish mein baam-o-dar ko kyun
haq nahin hota thartharaane ka
mujhko raatein jaga rahi hain to
din ko kyun haq nahin sulaane ka
naam par uske ye kahaani thi
intiha kya likhen fasaane ka
deta dastak to khul gaya hota
ghar usi se tha aastaane ka
ik wajah tha vo gungunaane ki
ik bahaana tha muskuraane ka
aa gaya hoon udaan bharne main
hausla mujhmein ladkhadaane ka
kaise koi kare rihaa usko
jo sipaahi ho qaid khaane ka
har ghadi naam saath gar rehta
hota kotha bhi ghar gharaane ka
kaun hasrat teri kare chetan
shauq sab kuchh tujhe ganwaane ka
उसने वादा किया था आने का
था मगर वो भी इस ज़माने का
शुक्र है घर कोई नहीं आया
जब ठिकाना नहीं था खाने का
क्यूँ ख़ुशी हो अगर मिलें अब हम
ज़ख़्म गहरा है दूर जाने का
क्या तुझे चाहता है अब कोई
या पता मिल गया ख़ज़ाने का
अब मुक़ाबिल नहीं हैं हम दोनों
ये है पल राब्ता निभाने का
वो सहारा नहीं रहा मेरा
सो बहाना है डगमगाने का
तेज़ बारिश में बाम-ओ-दर को क्यूँ
हक़ नहीं होता थरथराने का
मुझको रातें जगा रही हैं तो
दिन को क्यूँ हक़ नहीं सुलाने का
नाम पर उसके ये कहानी थी
इंतिहा क्या लिखें फ़साने का
देता दस्तक तो खुल गया होता
घर उसी से था आस्ताने का
इक वजह था वो गुनगुनाने की
इक बहाना था मुस्कुराने का
आ गया हूँ उड़ान भरने मैं
हौसला मुझमें लड़खड़ाने का
कैसे कोई करे रिहा उसको
जो सिपाही हो क़ैद ख़ाने का
हर घड़ी नाम साथ 'गर रहता
होता कोठा भी घर घराने का
कौन हसरत तेरी करे चेतन
शौक़ सब कुछ तुझे गँवाने का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chetan
our suggestion based on Chetan
As you were reading Ummeed Shayari Shayari