faida kuch bhi na hona khaamoshi se | फ़ाइदा कुछ भी न होना ख़ामुशी से - Dileep Kumar

faida kuch bhi na hona khaamoshi se
mas'ala hal hona hain to dosti se

saath bhi uska nibhaana chahta hoon
bhaagta hoon door bhi lekin usi se

bazm mein rasman bula lete hain varna
hain kise matlab meri maujoodgi se

mas'ala saara khushi ka hai wagarana
ho hi jaata hai guzaara doosri se

hashr kya hoga na jaane is jahaan ka
hain pareshaan aadmi hi aadmi se

फ़ाइदा कुछ भी न होना ख़ामुशी से
मसअला हल होना हैं तो दोस्ती से

साथ भी उसका निभाना चाहता हूँ
भागता हूँ दूर भी लेकिन उसी से

बज़्म में रस्मन बुला लेते हैं वरना
हैं किसे मतलब मिरी मौजूदगी से

मसअला सारा ख़ुशी का है वगरना
हो ही जाता है गुज़ारा दूसरी से

हश्र क्या होगा न जाने इस जहाँ का
हैं परेशाँ आदमी ही आदमी से

- Dileep Kumar
1 Like

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dileep Kumar

As you were reading Shayari by Dileep Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Dileep Kumar

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari