aapke hisse mein kuch aur aata furqat ke alaava | आपके हिस्से में कुछ और आता फ़ुर्क़त के अलावा - Gautam jadhav "AALAM"

aapke hisse mein kuch aur aata furqat ke alaava
kaam gar kuch doosra karte muhabbat ke alaava

maarna hi ho kisi ko gar bina hathiyaar ke to
chahiye hi kya tumhaare jaisi soorat ke alaava

kya galat hai gar mere ahbaab mujhko chhod jaaye
aur kya hai paas mere saaf niyat ke alaava

hain safar ye gar tumhaara raahen bhi tum hi banaao
log tumko kuch nahin denge naseehat ke alaava

vo mera hokar bhi meri baat sunta hi nahin hai
kya hi karta phir batao main bagaavat ke alaava

uski yaadein uski baatein zikr uska fikr uski
hijr aur kuch bhi nahin hai yaar khilvat ke alaava

ho agar manzil ko paana to suno tum baat aalam
aur bhi kuch chahiye hota hai qismat ke alaava

आपके हिस्से में कुछ और आता फ़ुर्क़त के अलावा
काम गर कुछ दूसरा करते मुहब्बत के अलावा

मारना ही हो किसी को गर बिना हथियार के तो
चाहिए ही क्या तुम्हारे जैसी सूरत के अलावा

क्या ग़लत है गर मेरे अहबाब मुझको छोड़ जाए
और क्या है पास मेरे साफ़ नीयत के अलावा

हैं सफ़र ये गर तुम्हारा, राहें भी तुम ही बनाओ
लोग तुमको कुछ नहीं देंगे नसीहत के अलावा

वो मेरा होकर भी मेरी बात सुनता ही नहीं है
क्या ही करता फिर बताओ मैं बग़ावत के अलावा

उसकी यादें उसकी बातें ज़िक्र उसका फ़िक्र उसकी
हिज्र और कुछ भी नहीं है यार ख़ल्वत के अलावा

हो अगर मंज़िल को पाना तो सुनो तुम बात 'आलम'
और भी कुछ चाहिए होता है क़िस्मत के अलावा

- Gautam jadhav "AALAM"
0 Likes

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gautam jadhav "AALAM"

As you were reading Shayari by Gautam jadhav "AALAM"

Similar Writers

our suggestion based on Gautam jadhav "AALAM"

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari