nigaah-e-shauq ko ye qurb haasil ho raha hai | निगाह-ए-शौक़ को ये क़ुर्ब हासिल हो रहा है

  - Kaif Uddin Khan

nigaah-e-shauq ko ye qurb haasil ho raha hai
tera chehra meri aankhon ke qaabil ho raha hai

mujhe dariya se nisbat is qadar hai poochiye mat
jise main choo raha hoon vo bhi saahil ho raha hai

had-e-aflaak se aage nahin rasta muhayya
meri parvaaz mein ik shaks haa'il ho raha hai

nikal kar wasf bahte hain teri aankhon se aise
tu jisko dekhta hai vo bhi qaateel ho raha hai

tujhe choona khasaare ke siva kuchh bhi nahin ab
tujhe choone se patthar jo mera dil ho raha hai

shareek-e-marg to hoon par qaza se bekhbar hoon
vo rasta hoon main jo khud apni manzil ho raha hai

निगाह-ए-शौक़ को ये क़ुर्ब हासिल हो रहा है
तेरा चहरा मेरी आँखों के क़ाबिल हो रहा है

मुझे दरिया से निस्बत इस क़दर है पूछिए मत
जिसे मैं छू रहा हूँ वो भी साहिल हो रहा है

हद-ए-अफ़लाक़ से आगे नहीं रस्ता मुहय्या
मेरी परवाज़ में इक शक़्स हाइल हो रहा है

निकल कर वस्फ़ बहते हैं तेरी आँखों से ऐसे
तू जिसको देखता है वो भी क़ातिल हो रहा है

तुझे छूना ख़सारे के सिवा कुछ भी नहीं अब
तुझे छूने से पत्थर जो मेरा दिल हो रहा है

शरीक-ए-मर्ग तो हूँ पर क़ज़ा से बेख़बर हूँ
वो रस्ता हूँ मैं जो ख़ुद अपनी मंज़िल हो रहा है

  - Kaif Uddin Khan

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Uddin Khan

As you were reading Shayari by Kaif Uddin Khan

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Uddin Khan

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari