kabhi na mil sake ham-tum shanaas ho kar bhi
hamesha door rahe paas-paas ho kar bhi
naseeb jab se ye jhunjhlahtein hui hain hamein
zabaan talkh hai dil mein mithaas ho kar bhi
kisi ke paas hai bas ik qaba magar khush hai
koi dukhi hai hazaaron libaas ho kar bhi
bhale hi jaan hi le le na kyun udaasi ye
magar dikhoonga nahin main udaas ho kar bhi
vo us ka ho gaya hai khaas aam ho kar aur
yahan main rah gaya bas aam khaas ho kar bhi
thi aisi pyaas ki ham se ruka gaya hi nahin
daba li hont mein bottle gilaas ho kar bhi
jo ik umeed thi dil mein ki vo bhi soti rahi
raha niraas hi main paas aas ho kar bhi
कभी न मिल सके हम-तुम शनास हो कर भी
हमेशा दूर रहे पास-पास हो कर भी
नसीब जब से ये झुँझलाहटें हुईं हैं हमें
ज़बान तल्ख़ है दिल में मिठास हो कर भी
किसी के पास है बस इक क़बा मगर ख़ुश है
कोई दुखी है हज़ारों लिबास हो कर भी
भले ही जान ही ले ले न क्यों उदासी ये
मगर दिखूँगा नहीं मैं उदास हो कर भी
वो उस का हो गया है ख़ास आम हो कर और
यहाँ मैं रह गया बस आम ख़ास हो कर भी
थी ऐसी प्यास कि हम से रुका गया ही नहीं
दबा ली होंठ में बोतल गिलास हो कर भी
जो इक उमीद थी दिल में कि वो भी सोती रही
रहा निरास ही मैं पास, आस हो कर भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohit Subran
our suggestion based on Mohit Subran
As you were reading Udasi Shayari Shayari