koii saazish thi muhabbat ka to ye kaam na tha | कोई साज़िश थी मुहब्बत का तो ये काम न था

  - Vikas Shah musafir

koii saazish thi muhabbat ka to ye kaam na tha
haathon pe mehndi to dekhi thi magar naam na tha

ishq kii lat ne meri shaan ko badla hua hai
warna main pehle kabhi itna to badnaam na tha

bhale hi ishq mukammal na hua ho mera
par kabhi ishq ke maidaan mein naakaam na tha

muskuraa kar dukhi chehra chhupa leta tha main
saath tha vo mere par rahat-o-aaraam na tha

aakhiri vaar bhi apna liya dushman ne magar
main to ye jaanta tha vo mera itmaam na tha

mujhse sauda kiya tha ulfat-e-ariz ka bas
jo bhi mujhko mila tha ishq se inaam na tha

कोई साज़िश थी मुहब्बत का तो ये काम न था
हाथों पे मेहंदी तो देखी थी मगर नाम न था

इश्क़ की लत ने मेरी शान को बदला हुआ है
वर्ना मैं पहले कभी इतना तो बदनाम न था

भले ही इश्क़ मुकम्मल न हुआ हो मेरा
पर कभी इश्क़ के मैदान में नाकाम न था

मुस्कुरा कर दुखी चेहरा छुपा लेता था मैं
साथ था वो मेरे पर राहतओआराम न था

आख़िरी वार भी अपना लिया दुश्मन ने मगर
मैं तो ये जानता था वो मेरा इतमाम न था

मुझसे सौदा किया था उल्फ़तएआरिज़ का बस
जो भी मुझको मिला था इश्क़ से इनआम न था

  - Vikas Shah musafir

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari