roo-b-roo bhi na tu aur ojhal nahin | रू-ब-रू भी न तू और ओझल नहीं

  - Naaz ishq

roo-b-roo bhi na tu aur ojhal nahin
yaad aati hai lekin musalsal nahin

kya t'alluk badhaaun mujhe ilm hai
aaj vo shakhs hoga magar kal nahin

uski shaadi thi kal raat ko aur aaj
subah se mere kamre mein hal-chal nahin

mere alfaaz mein yoon hi aatish na hai
dost kaafi tapa hoon main so jal nahin

ajnabbiyyat ho ya dosti ho ki ishq
tujh se koii t'alluk mukammal nahin

dasht-e-imkaan mein ham chal pade the magar
dhoop hi dhoop hai koii baadal nahin

pad gai silvatein aaj bistar pe naaz
aaj uski jabeen pe koii bal nahin

रू-ब-रू भी न तू और ओझल नहीं
याद आती है लेकिन मुसलसल नहीं

क्या त'अल्लुक बढ़ाऊॅं मुझे इल्म है
आज वो शख़्स होगा मगर कल नहीं

उसकी शादी थी कल रात को और आज
सुब्ह से मेरे कमरे में हल-चल नहीं

मेरे अल्फ़ाज़ में यूॅं ही आतिश न है
दोस्त काफ़ी तपा हूॅं मैं सो जल नहीं

अज्नबिय्यत हो या दोस्ती हो कि इश्क़
तुझ से कोई त'अल्लुक मुकम्मल नहीं

दश्त-ए-इमकाँ में हम चल पड़े थे मगर
धूप ही धूप है कोई बादल नहीं

पड़ गई सिलवटें आज बिस्तर पे 'नाज़'
आज उसकी जबीं पे कोई बल नहीं

  - Naaz ishq

More by Naaz ishq

As you were reading Shayari by Naaz ishq

Similar Writers

our suggestion based on Naaz ishq

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari