aehatiyatan kar diye tasveer ke tukde magar | ऐहतियातन कर दिए तस्वीर के टुकड़े, मगर

  - Neeraj Naveed

aehatiyatan kar diye tasveer ke tukde magar
kah rahi thi dil mein mere tum rahoge umr bhar

chaar din ki zindagi hai teen din to kat gaye
ek din ke vaaste ab kya karein kuchh maangkar

chaand ka bhi apna dukh hai jo kabhi dikhta nahin
beech taaron ke bhi vo rehta hai tanhaa raatbhar

bas dikhaave ki hai himmat sach to ye hai mere dost
teri aankhen kah rahi hain tujhko bhi lagta hai dar

hausla jo mar chuka tha phir se zinda ho gaya
jab charaagh ik ladta dekha teergi se ta-sehr

kaun kehta hai jahaan mein jeetkar milta hai sab
hamne unko pa liya hai apna sab kuchh haarkar

ek aadat ne unhen majboor itna kar diya
sab parinde aa gaye hain phir qafas mein lautkar

teri khaamoshi samajh luun itna main daana nahin
ik ishaara meri jaanib kar mohabbat hai agar

ऐहतियातन कर दिए तस्वीर के टुकड़े, मगर
कह रही थी दिल में मेरे तुम रहोगे उम्र भर

चार दिन की ज़िंदगी है, तीन दिन तो कट गए
एक दिन के वास्ते अब क्या करें कुछ माँगकर

चाँद का भी अपना दुख है, जो कभी दिखता नहीं
बीच तारों के भी वो रहता है तन्हा रातभर

बस दिखावे की है हिम्मत, सच तो ये है मेरे दोस्त
तेरी आँखें कह रही हैं, तुझको भी लगता है डर

हौसला जो मर चुका था फिर से ज़िंदा हो गया
जब चराग़ इक लड़ता देखा तीरगी से ता-सहर

कौन कहता है जहाँ में जीतकर मिलता है सब
हमने उनको पा लिया है अपना सब कुछ हारकर

एक आदत ने उन्हें मजबूर इतना कर दिया
सब परिंदे आ गए हैं फिर क़फ़स में लौटकर

तेरी ख़ामोशी समझ लूँ, इतना मैं दाना नहीं
इक इशारा मेरी जानिब कर, मोहब्बत है अगर

  - Neeraj Naveed

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Neeraj Naveed

As you were reading Shayari by Neeraj Naveed

Similar Writers

our suggestion based on Neeraj Naveed

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari