doli utha ke le gaye mahlon ke baadshaah
sadkon se dekhte rahe sadkon ke baadshaah
ummeed ki kiran mein har ik khet jal gaye
salfaas kha ke mar gaye kheton ke baadshaah
main doosri ghazal ki taraf chal diya to dost
pichhli bulaati rah gai ghazalon ke baadshaah
aankhon ki takht-poshi to beenaai le gai
aansu banenge dekhiyo palkon ke baadshaah
डोली उठा के ले गए महलों के बादशाह
सड़कों से देखते रहे सड़कों के बादशाह
उम्मीद की किरण में हर इक खेत जल गए
सलफ़ास खा के मर गए खेतों के बादशाह
मैं दूसरी ग़ज़ल की तरफ़ चल दिया तो दोस्त
पिछली बुलाती रह गई ग़ज़लों के बादशाह
आँखों की तख़्त-पोशी तो बीनाई ले गई
आँसू बनेंगे देखियो पलकों के बादशाह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rishabh Sharma
our suggestion based on Rishabh Sharma
As you were reading Charagh Shayari Shayari