jhooth hai saare maraasim is jahaan ke
rah gaye naqli sabhi rishte dahaan ke
loot lenge jab sabhi hamdard bankar
sab luta kar phir rahoge tum kahaan ke
hai alag aalam yahan ka dhyaan rakhna
hai adam ki shakl mein sab thug yahan ke
ab yaqeen hota nahin khud par mujhe to
kha liye dhoke yahin jab do-jahaan ke
झूठ है सारे मरासिम इस जहाँ के
रह गए नक़ली सभी रिश्ते दहाँ के
लूट लेंगे जब सभी हमदर्द बनकर
सब लुटा कर फिर रहोगे तुम कहाँ के
है अलग आलम यहाँ का ध्यान रखना
है अदम की शक्ल में सब ठग यहाँ के
अब यक़ीं होता नहीं ख़ुद पर मुझे तो
खा लिए धोखे यहीं जब दो-जहाँ के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rubal
our suggestion based on Rubal
As you were reading Aitbaar Shayari Shayari