hain rab se mahv-e-dua sab ke sab judaai ke baad
hayaat-e-khizr nahin dena rab judaai ke baad
lahu tapkata hai har qalb ke dariche se
bapaa hai qalb mein mahshar ajab judaai ke baad
tadap rahe the tadpate hain aur tadpenge
teri judaai se pehle aur ab judaai ke baad
judaai hamse tumhein chahiye thi yaar so ki
ab ashqbaar ho tum be-sabab judaai ke baad
idhar main giryaa-kunaan hoon udhar vo giryaa-kunaan
sukoon kisko mayassar hai ab judaai ke baad
gale laga ke do bosa jabeen par meri
tumhaare honge na ye khushk-lab judaai ke baad
teri judaai ne deewaana kar ke chhod diya
kisi ko kar na saka muntakhab judaai ke baad
jo muskurata tha har dam judaai se pehle
vo roya karta hai ab roz-o-shab judaai ke baad
udaas rah ke guzaari hai mayqade mein hayaat
kabhi gaya nahin bazm-e-tarab judaai ke baad
sar usne peet liya surkh kar liye rukhsaar
nazar pada main use yaar jab judaai ke baad
labon pe ahl-e-nazar ke hai subh-o-shaam yahi
shajar shajar nahin lagta gazab judaai ke baad
हैं रब से महव-ए-दुआ सब के सब जुदाई के बाद
हयात-ए-ख़िज़्र नहीं देना रब जुदाई के बाद
लहू टपकता है हर क़ल्ब के दरीचे से
बपा है क़ल्ब में महशर अजब जुदाई के बाद
तड़प रहे थे तड़पते हैं और तड़पेंगे
तेरी जुदाई से पहले और अब जुदाई के बाद
जुदाई हमसे तुम्हें चाहिए थी यार सो की
अब अश्क़बार हो तुम बे-सबब जुदाई के बाद
इधर मैं गिर्या-कुनाँ हूँ उधर वो गिर्या-कुनाँ
सुकून किसको मयस्सर है अब जुदाई के बाद
गले लगा के दो बोसा जबीन पर मेरी
तुम्हारे होंगे न ये ख़ुश्क-लब जुदाई के बाद
तेरी जुदाई ने दीवाना कर के छोड़ दिया
किसी को कर न सका मुंतख़ब जुदाई के बाद
जो मुस्कुराता था हर दम जुदाई से पहले
वो रोया करता है अब रोज़-ओ-शब जुदाई के बाद
उदास रह के गुज़ारी है मयक़दे में हयात
कभी गया नहीं बज़्म-ए-तरब जुदाई के बाद
सर उसने पीट लिया सुर्ख़ कर लिए रूख़सार
नज़र पड़ा मैं उसे यार जब जुदाई के बाद
लबों पे अहल-ए-नज़र के है सुब्ह-ओ-शाम यही
शजर शजर नहीं लगता ग़ज़ब जुदाई के बाद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Charagh Shayari Shayari