har pal basi hui tu meri jaan man mein hai | हर पल बसी हुई तू मेरी जान मन में है

  - Shajar Abbas

har pal basi hui tu meri jaan man mein hai
tasveer teri aaj bhi dil ke sahan mein hai

usko sazaa-e-maut suna haakim-e-jahaan
vo shakhs bhi shareek dil-e-raahzan mein hai

dil ro raha hai haalat-e-gulshan ko dekh ke
kuchh itne zakham yaar gulon ke badan mein hai

jo hans ke jaan nisaar kare raah-e-ishq mein
ye hausla to qais mein ya kohkan mein hai

bhanware tawaaf karte hain jis gul ka raat din
murshid vo gul hamaari gali ke chaman mein hai

afsurda haal dil ka hai furqat ke baad se
jakda hua ye aaj ghamon ki rasan mein hai

zindaan-e-shaam jaisa hai dil mein mere samaan
dil har ghadi ye mera qasam se ghutan mein hai

jisko sadaaein deti thi tum kah ke apni jaan
lipta hua vo dekh lo aakar kafan mein hai

karta hoon deed jab bhi main mahtaab ka sanam
lagta hai jaise baitha hua tu gagan mein hai

jab se gai hai chhod ke bulbul khuda qasam
tab se shajar ye mubtila ranj-o-mehan mein hai

हर पल बसी हुई तू मेरी जान मन में है
तस्वीर तेरी आज भी दिल के सहन में है

उसको सज़ा-ए-मौत सुना हाकिम-ए-जहाँ
वो शख़्स भी शरीक दिल-ए-राहज़न में है

दिल रो रहा है हालत-ए-गुलशन को देख के
कुछ इतने ज़ख़्म यार गुलों के बदन में है

जो हँस के जाँ निसार करे राह-ए-इश्क़ में
ये हौसला तो क़ैस में या कोहकन में है

भँवरे तवाफ़ करते हैं जिस गुल का रात दिन
मुर्शिद वो गुल हमारी गली के चमन में है

अफ़सुर्दा हाल दिल का है फ़ुर्क़त के बाद से
जकड़ा हुआ ये आज ग़मों की रसन में है

ज़िंदान-ए-शाम जैसा है दिल में मेरे समाँ
दिल हर घड़ी ये मेरा क़सम से घुटन में है

जिसको सदाएँ देती थी तुम कह के अपनी जाँ
लिपटा हुआ वो देख लो आकर कफ़न में है

करता हूँ दीद जब भी मैं महताब का सनम
लगता है जैसे बैठा हुआ तू गगन में है

जब से गई है छोड़ के बुलबुल ख़ुदा क़सम
तब से शजर ये मुब्तिला रंज-ओ-मेहन में है

  - Shajar Abbas

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari