sada-e-kalb-e-hazi ko suno gar aashiq ho
ye basti chhod ke sehra chalo gar aashiq ho
tawaaf-e-khaana-e-kaaba hai mominon ke liye
tawaaf-e-turbat-e-majnoo karo gar aashiq ho
tumhaare vaaste achha nahin ye baab-e-visaal
ke baab-hijr ko dil se padho gar aashiq ho
yoon roz khwaab mein aane se faayda kya hai
tum hamse ru-ba-ru aakar milo gar aashiq ho
wafa ki raah mein saabiq qadam rakho apne
jahaan waalon se tum mat daro gar aashiq ho
nishaan-e-turbat-e-laila o qais mit na sake
difa hai aap pe waajib suno gar aashiq ho
agarche ishq pa aanch aayi jaan luta denge
ye baat bar sare mehfil kaho gar aashiq ho
na khao haakimon ka khauf ai anaarkali
hamaare seene se aakar lago gar aashiq ho
yoon uski yaad mein rone se kuchh nahin hoga
tum uski yaad mein cigarette piyo gar aashiq ho
baghair ishq kiye zindagi adhuri hai
qalam utha ke shajar ye likho gar aashiq ho
सदा-ए-कल्ब-ए-हज़ी को सुनो गर आशिक़ हो
ये बस्ती छोड़ के सहरा चलो गर आशिक़ हो
तवाफ-ए-खा़ना-ए-काबा है मोमिनों के लिए
तवाफ-ए-तुर्बत-ए-मजनू करो गर आशिक़ हो
तुम्हारे वास्ते अच्छा नहीं ये बाब-ए-विसाल
के बाब-हिज्र को दिल से पढ़ो गर आशिक़ हो
यूं रोज़ ख़्वाब में आने से फ़ायदा क्या है
तुम हमसे रु-बा-रु आकर मिलो गर आशिक़ हो
वफ़ा की राह में साबिक़ क़दम रखो अपने
जहान वालों से तुम मत डरो गर आशिक़ हो
निशान-ए-तुर्बत-ए-लैला ओ क़ैस मिट न सके
दिफ़ा है आप पे वाजिब सुनो गर आशिक़ हो
अगरचे इश्क़ पा आंच आई जां लुटा देंगे
ये बात बर सरे महफ़िल कहो गर आशिक़ हो
न खाओ हाकिमों का खौफ ऐ अनारकली
हमारे सीने से आकर लगो गर आशिक़ हो
यूं उसकी याद में रोने से कुछ नहीं होगा
तुम उसकी याद में सिगरेट पियो गर आशिक़ हो
बग़ैर इश्क़ किये ज़िन्दगी अधूरी है
क़लम उठा के शजर ये लिखो गर आशिक़ हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Baaten Shayari Shayari