sarkaar kaun hai are sarkaar kaun hai | सरकार कौन है अरे सरकार कौन है

  - Shajar Abbas

sarkaar kaun hai are sarkaar kaun hai
makkaar kaun saahib-e-kirdaar kaun hai

leila se poocho ishq ka beemaar kaun hai
furqat ke gham se dasht mein do chaar kaun hai

gulshan mein ishq ke ye naya khaar kaun hai
jo choomta hai phool ke rukhsaar kaun hai

taarikh-e-karbala ko padhen aur phir kahein
mazloom kaun aur jafa-kaar kaun hai

yusuf ki theen zulekha khareedaar misr mein
mujhko batao mera khareedaar kaun hai

baatein hain sab ke honthon pe haq ki jahaan mein
ye hai sawaal haq ka parastaar kaun hai

mat kar ye meri laash chhupaane ki koshishein
sab jaante hain mera gunahgaar kaun hai

maidaan-e-karbala mein khulasa ye ho gaya
haq par hai kaun haq ka tarafdaar kaun hai

deewaar par hai dil ki mohabbat ka ik diya
jo dhaa raha hai dil ki ye deewaar kaun hai

mujhko shajar ye waqt-e-museebat pata chala
dushman hai kaun aur mera yaar kaun hai

सरकार कौन है अरे सरकार कौन है
मक्कार कौन साहिब-ए-किरदार कौन है

लैला से पूछो इश्क़ का बीमार कौन है
फ़ुर्क़त के ग़म से दश्त में दो चार कौन है

गुलशन में इश्क़ के ये नया ख़ार कौन है
जो चूमता है फूल के रुख़सार कौन है

तारीख़-ए-कर्बला को पढ़ें और फिर कहें
मज़लूम कौन और जफ़ा-कार कौन है

यूसुफ़ की थीं ज़ुलेख़ा ख़रीदार मिस्र में
मुझको बताओ मेरा ख़रीदार कौन है

बातें हैं सब के होंठों पे हक़ की जहान में
ये है सवाल हक़ का परस्तार कौन है

मत कर ये मेरी लाश छुपाने की कोशिशें
सब जानते हैं मेरा गुनहगार कौन है

मैदान-ए-कर्बला में ख़ुलासा ये हो गया
हक़ पर है कौन हक़ का तरफ़दार कौन है

दीवार पर है दिल की मोहब्बत का इक दिया
जो ढा रहा है दिल की ये दीवार कौन है

मुझको 'शजर' ये वक़्त-ए-मुसीबत पता चला
दुश्मन है कौन और मिरा यार कौन है

  - Shajar Abbas

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari