sitam ka dekhna aise jawaab aayega
lahu se qais tere inqlaab aayega
zamaana dekhega hairat bhari nigaahon se
labon pe aapke gar jee janab aayega
dilaasa bacchon ko maa de rahi hai eed ke din
tumhaare vaaste jannat se khwaab aayega
aseer-e-ishq ye ho jaayenge tamaam jawaan
vo bazm-e-ishq mein gar be-hijaab aayega
likha hai usne lahu se ye khat ke aakhir mein
yaqeen hain mujhe khat ka jawaab aayega
jo zulm tumne mohabbat mein dhaaye hain mujhpar
tamaam zulmon ka tum par azaab aayega
lahu girega teri aankh se jise padhkar
kitaab-e-ishq mein ik aisa baab aayega
qasam khuda ki main aankhon ko noch daaloonga
agar ab inme mohabbat ka khwaab aayega
dua ko haath uthaayenge hazrat-e-yoosuf
palat ke tum pe zulekha shabaab aayega
chaman mein titliyan yun mahv-e-guftugu hain shajar
gulaab lene ko khud ik gulaab aayega
सितम का देखना ऐसे जवाब आएगा
लहू से क़ैस तेरे इंक़लाब आएगा
ज़माना देखेगा हैरत भरी निगाहों से
लबों पे आपके गर "जी" "जनाब" आएगा
दिलासा बच्चों को माँ दे रही है ईद के दिन
तुम्हारे वास्ते जन्नत से ख़्वाब आएगा
असीर-ए-इश्क़ ये हो जायेंगें तमाम जवाँ
वो बज़्म-ए-इश्क़ में गर बे-हिजाब आएगा
लिखा है उसने लहू से ये ख़त के आख़िर में
यक़ीन हैं मुझे ख़त का जवाब आएगा
जो ज़ुल्म तुमने मोहब्बत में ढाए हैं मुझपर
तमाम ज़ुल्मों का तुम पर अज़ाब आएगा
लहू गिरेगा तेरी आँख से जिसे पढ़कर
किताब-ए-इश्क़ में इक ऐसा बाब आएगा
क़सम ख़ुदा की मैं आँखों को नोच डालूँगा
अगर अब इनमे मोहब्बत का ख़्वाब आएगा
दुआ को हाथ उठायेंगे हज़रत-ए-यूसुफ़
पलट के तुम पे ज़ुलेख़ा शबाब आएगा
चमन में तितलियाँ यूँ महव-ए-गुफ़्तुगू हैं 'शजर'
गुलाब लेने को ख़ुद इक गुलाब आएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Aitbaar Shayari Shayari