yaqeen maano haqeeqat hai qasam se | यक़ीं मानो हक़ीक़त है क़सम से

  - Shajar Abbas

yaqeen maano haqeeqat hai qasam se
hamein tumse mohabbat hai qasam se

ye jo til hai tumhaare lab ke oopar
bahut hi khoobsurat hai qasam se

sukoon tanhaai mein milta hai dil ko
mujhe mehfil se nafrat hai qasam se

kisi se ishq karna aur chhupaana
mohabbat mein siyaasat hai qasam se

jise tujhse adavat hai jahaan mein
mujhe usse adavat hai qasam se

main usko roz ye samjha raha hoon
mohabbat ik ibadat hai qasam se

bichhad ke tujhse mein zinda hoon ab tak
zamaane bhar ko hairat hai qasam se

hamaara haal se be-haal hona
mohabbat ki badaulat hai qasam se

tumhaara naam subh-o-shaam lena
mataa-e-jaan ibadat hai qasam se

shajar hai waqt mujh par imtihaan ka
mujhe teri zaroorat hai qasam se

यक़ीं मानो हक़ीक़त है क़सम से
हमें तुमसे मोहब्ब्त है क़सम से

ये जो तिल है तुम्हारे लब के ऊपर
बहुत ही ख़ूबसूरत है क़सम से

सुकूँ तन्हाई में मिलता है दिल को
मुझे महफ़िल से नफ़रत है क़सम से

किसी से इश्क़ करना और छुपाना
मोहब्ब्त में सियासत है क़सम से

जिसे तुझसे अदावत है जहाँ में
मुझे उससे अदावत है क़सम से

मैं उसको रोज़ ये समझा रहा हूँ
मोहब्बत इक इबादत है क़सम से

बिछड़ के तुझसे में ज़िन्दा हूँ अब तक
ज़माने भर को हैरत है क़सम से

हमारा हाल से बे-हाल होना
मोहब्बत की बदौलत है क़सम से

तुम्हारा नाम सुबह-ओ-शाम लेना
मता-ए-जाँ इबादत है क़सम से

'शजर' है वक़्त मुझ पर इम्तिहाँ का
मुझे तेरी ज़रूरत है क़सम से

  - Shajar Abbas

Husn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Husn Shayari Shayari