aayi deepaavali ye batao zara
tum charaagon se ghar ko sajaao zara
khelte hain yun bacche patakho'n se ab
saath mein tum pataakhein jalao zara
mulk mein itni khushiyaan bhi hain doston
jee laga kar ke khushiyaan manao zara
nafratoin ko mitaana hai is mulk se
kaam ye karke tum bhi dikhaao zara
tum bhi hindu musalmaan ki yak-jehati par
ek daanish ghazal ab sunaao zara
आई दीपावली ये बताओ ज़रा
तुम चराग़ों से घर को सजाओ ज़रा
खेलते हैं यूँ बच्चे पटाखों से अब
साथ में तुम पटाखें जलाओ ज़रा
मुल्क में इतनी ख़ुशियाँ भी हैं दोस्तों
जी लगा कर के ख़ुशियाँ मनाओ ज़रा
नफ़रतों को मिटाना है इस मुल्क से
काम ये करके तुम भी दिखाओ ज़रा
तुम भी हिन्दू मुसलमाँ की यक-जेहती पर
एक 'दानिश' ग़ज़ल अब सुनाओ ज़रा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Ghar Shayari Shayari