dagabaazon ki rab se ab shikaayat kaun karta hai | दग़ाबाज़ों की रब से अब शिकायत कौन करता है

  - Shayar Danish

dagabaazon ki rab se ab shikaayat kaun karta hai
zameen par be-wafaon se adavat kaun karta hai

bahut marte hain dil se pyaar karne waale duniya mein
magar inke janaaze ki himayat kaun karta hai

zamaana aashiqon se dushmani karta hai be-matlab
zamaane ki ye saazish ki mazammat kaun karta hai

kisi ko paane ki khaatir duaaein maangi hai maine
kisi ko paane ki khaatir ibadat kaun karta hai

sabhi rakhte hain matlab jism se ulfat mein daanish ab
mere jaisa yahan dil se muhabbat kaun karta hai

दग़ाबाज़ों की रब से अब शिकायत कौन करता है
ज़मीं पर बे-वफ़ाओं से अदावत कौन करता है

बहुत मरते हैं दिल से प्यार करने वाले दुनिया में
मगर इनके जनाज़े की हिमायत कौन करता है

ज़माना आशिक़ों से दुश्मनी करता है बे-मतलब
ज़माने की ये साज़िश की मज़म्मत कौन करता है

किसी को पाने की ख़ातिर दुआएँ माँगी है मैंने
किसी को पाने की ख़ातिर इबादत कौन करता है

सभी रखते हैं मतलब जिस्म से उल्फ़त में 'दानिश' अब
मेरे जैसा यहाँ दिल से मुहब्बत कौन करता है

  - Shayar Danish

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari