bahut apne dil ko dukhaaya hai maine
isee tarah se zulm dhaaya hai maine
kisi be-wafa pe bharosa jata kar
muhabbat mein khud ko jalaya hai maine
zamaane mein dil sirf tujh se laga kar
sanam zahar khud ko pilaaya hai maine
gharo ki deewaron pe ghazlen yun likh kar
saleeqe se gham ko sajaaya hai maine
use yaad karke akela mein daanish
faqat aankh se khun bahaaya hai maine
बहुत अपने दिल को दुखाया है मैंने
इसी तरह से ज़ुल्म ढ़ाया है मैंने
किसी बे-वफ़ा पे भरोसा जता कर
मुहब्बत में ख़ुद को जलाया है मैंने
ज़माने में दिल सिर्फ़ तुझ से लगा कर
सनम ज़हर ख़ुद को पिलाया है मैंने
घरों की दीवारों पे ग़ज़लें यूँ लिख कर
सलीक़े से ग़म को सजाया है मैंने
उसे याद करके अकेले में 'दानिश'
फ़क़त आँख से ख़ूँ बहाया है मैंने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Faith Shayari Shayari