kabhi ruswaai apni aur zillat yaad aati hai | कभी रुस्वाई अपनी और ज़िल्लत याद आती है

  - Shayar Danish

kabhi ruswaai apni aur zillat yaad aati hai
tumhein jab dekhte hain to muhabbat yaad aati hai

kabhi jab baat kar ke khoob ham itraane lagte the
muhabbat ki sanam vo saari shiddat yaad aati hai

muhabbat ke jo qaateel the unhen apna samajh baithe
raqeebon se tumhaari thi vo millat yaad aati hai

zamaana bhi hamein jab dekhta tha saath dono ko
sanam hamko bhi apni aur sangat yaad aati hai

iraada pyaar mein shaadi bhi karne thi sanam tumse
ai daanish vo tumhaari paak niyyat yaad aati hai

कभी रुस्वाई अपनी और ज़िल्लत याद आती है
तुम्हें जब देखते हैं तो मुहब्बत याद आती है

कभी जब बात कर के ख़ूब हम इतराने लगते थे
मुहब्बत की सनम वो सारी शिद्दत याद आती है

मुहब्बत के जो क़ातिल थे उन्हें अपना समझ बैठे
रक़ीबों से तुम्हारी थी वो मिल्लत याद आती है

ज़माना भी हमें जब देखता था साथ दोनों को
सनम हमको भी अपनी और संगत याद आती है

इरादा प्यार में शादी भी करनी थी सनम तुमसे
ऐ 'दानिश' वो तुम्हारी पाक निय्यत याद आती है

  - Shayar Danish

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari