kisi ne sach hi kaha hai ki haadsa hoga | किसी ने सच ही कहा है कि हादसा होगा

  - Shayar Danish

kisi ne sach hi kaha hai ki haadsa hoga
bharosa jis pe hai mujhko vo bewafa hoga

tumhein hi soch ke laakhon main sher kehta hoon
tumhein na sochun to phir mera haal kya hoga

meri jagah pe raqeebon se pyaar mat karna
nahin to yaar yahan sirf mas'ala hoga

agar yun laut bhi aaoge ishq mein phir se
qubool karne mein tumko na kuchh bura hoga

jafaa bhi saath mere kisne pehle ki daanish
zaroor rab ki adaalat mein faisla hoga

किसी ने सच ही कहा है कि हादसा होगा
भरोसा जिस पे है मुझको वो बेवफ़ा होगा

तुम्हें ही सोच के लाखों मैं शेर कहता हूँ
तुम्हें न सोचूँ तो फिर मेरा हाल क्या होगा

मिरी जगह पे रक़ीबों से प्यार मत करना
नहीं तो यार यहाँ सिर्फ़ मस'अला होगा

अगर यूँ लौट भी आओगे इश्क़ में फिर से
क़ुबूल करने में तुमको न कुछ बुरा होगा

जफ़ा भी साथ मिरे किसने पहले की 'दानिश'
ज़रूर रब की अदालत में फ़ैसला होगा

  - Shayar Danish

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari