manzil-e-ulfat mein mera raahguzaar ab kaun hai
koi mat poocho ki mera hamsafar ab kaun hai
pyaar ke bas naam se dar jaata hai rag rag mera
sab ne toda hai bharosa motabar ab kaun hai
tabsira main kya karoon murshad raqeebon ke liye
aish mein sab jee rahe hain dar-b-dar ab kaun hai
kar rahe hain sab himayat be-wafa ki har taraf
jo saza de be-wafa ko daad-gar ab kaun hai
ishq ke baare mein sabko hai khabar daanish yahan
maut jaise haadson se be-khabar ab kaun hai
मंज़िल-ए-उल्फ़त में मेरा रहगुज़र अब कौन है
कोई मत पूछो कि मेरा हमसफ़र अब कौन है
प्यार के बस नाम से डर जाता है रग रग मेरा
सब ने तोड़ा है भरोसा मोतबर अब कौन है
तब्सिरा मैं क्या करूँ मुर्शद रक़ीबों के लिए
ऐश में सब जी रहे हैं दर-ब-दर अब कौन है
कर रहे हैं सब हिमायत बे-वफ़ा की हर तरफ़
जो सज़ा दे बे-वफ़ा को दाद-गर अब कौन है
इश्क़ के बारे में सबको है ख़बर 'दानिश' यहाँ
मौत जैसे हादसों से बे-ख़बर अब कौन है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Maut Shayari Shayari