tum andar ki ye jo baat bataate ho
phir mujh se kyun tum itna sharmate ho
main bhi tumhaare paagalpan se darta hoon
jab tanhaa mujhko kamre mein bulaate ho
itna yaad main karta hoon bas tumko jaan
khwaab mein mere tum hardam hi aate ho
kahte ho tum saath na chhodunga ye kabhi
tum itni kyun jhoothi qasmen khaate ho
usko main apna hi samajhta hoon daanish
usko paraaya tum kyun yaar bataate ho
तुम अंदर की ये जो बात बताते हो
फिर मुझ से क्यों तुम इतना शरमाते हो
मैं भी तुम्हारे पागलपन से डरता हूँ
जब तन्हा मुझको कमरे में बुलाते हो
इतना याद मैं करता हूँ बस तुमको जान
ख़्वाब में मेरे तुम हरदम ही आते हो
कहते हो तुम साथ न छोडूँगा ये कभी
तुम इतनी क्यों झूठी क़समें खाते हो
उसको मैं अपना ही समझता हूँ ''दानिश''
उसको पराया तुम क्यों यार बताते हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Dosti Shayari Shayari