aap naahak hi zulm dhhaate hain
aur ham hain ki muskuraate hain
teer pe teer chhodate hain aap
phir jigar ko bhi aazmaate hain
aap hain la-jawaab sha'ir dost
har kisi ko pasand aate hain
mausamon ki lalak mein kya rona
ye to aate hain aur jaate hain
zakham to bhar gaye sabhi ai dil
chal naya ek zakham khaate hain
paap ka mail man se dhone ko
log ganga mein ja nahaate hain
ye kahaani bhi khoob hai apni
aankh mein ashk jhilmilaate hain
kaam kitne hi rah gaye baaki
aap shekhar ghazal sunaate hain
आप नाहक़ ही ज़ुल्म ढाते हैं
और हम हैं कि मुस्कुराते हैं
तीर पे तीर छोड़ते हैं आप
फिर जिगर को भी आज़माते हैं
आप हैं ला-जवाब शा'इर दोस्त
हर किसी को पसंद आते हैं
मौसमों की ललक में क्या रोना
ये तो आते हैं और जाते हैं
ज़ख़्म तो भर गए सभी ऐ दिल
चल नया एक ज़ख़्म खाते हैं
पाप का मैल मन से धोने को
लोग गंगा में जा नहाते हैं
ये कहानी भी ख़ूब है अपनी
आँख में अश्क झिलमिलाते हैं
काम कितने ही रह गए बाक़ी
आप 'शेखर' ग़ज़ल सुनाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by shaan manral
our suggestion based on shaan manral
As you were reading Sad Shayari Shayari