baat adhuri hi chhoot jaati hai | "बात अधूरी ही छूट जाती है" - shaan uttarakhandi

baat adhuri hi chhoot jaati hai

aaj bhi baat adhuri hi kahi chhod na doon
kho na jaaun kahi us hoor-shiyam mein phir se
gir na jaaun kahi us gehre se yam mein phir se
dil-fareb aur badi mast si chanchal aankhen
baat kahte hue sunte hue akshar mujh ko
vash mein kar leti hai aisi hai ye chhal-bal aankhen
baat kehne hi nahin deti hai kyunkar mujh ko
kya nahin jaanti hai teri subuk-rau aankhen
raat din kitna pareshaan sa rehta hoon main
chahti kya hai bhala teri gul-e-nau aankhen
kyun mujhe kehne nahin deti jo kehta hoon main

kashmakash hai ki agar chashm se baahar aaya
to teri zulf ke is kham mein atak jaaunga
ek jungle se nikal kar ke alag jungle ki
or jaate hue main raah bhatk jaaunga
aur hoga wahi jo hona likha kismat mein
waqt ke saath main sab kehne se thak jaaunga
phir yahi hoga ki main bhi kisi ik din
tere pahluu se achaanak hi sarak jaaunga
baat sab aadhi-adhoori hi rahegi phir bhi
mujh ko har baat mukammal hi lagegi phir bhi

"बात अधूरी ही छूट जाती है"

आज भी बात अधूरी ही कहीं छोड़ न दूँ
खो न जाऊँ कहीं उस हूर-शियम में फिर से
गिर न जाऊँ कहीं उस गहरे से यम में फिर से
दिल-फ़रेब और बड़ी मस्त सी चंचल आँखें
बात कहते हुए सुनते हुए अक्सर मुझ को
वश में कर लेती है ऐसी है ये छल-बल आँखें
बात कहने ही नहीं देती है क्यूँकर मुझ को
क्या नहीं जानती है तेरी सुबुक-रौ आँखें
रात दिन कितना परेशान सा रहता हूँ मैं
चाहती क्या है भला तेरी गुल-ए-नौ आँखें
क्यूँ मुझे कहने नहीं देती जो कहता हूँ मैं

कशमकश है कि अगर चश्म से बाहर आया
तो तेरी ज़ुल्फ के इस ख़म में अटक जाऊँगा
एक जंगल से निकल कर के अलग जंगल की
ओर जाते हुए मैं राह भटक जाऊँगा
और होगा वही जो होना लिखा किस्मत में
वक़्त के साथ मैं सब कहने से थक जाऊँगा
फिर यही होगा कि मैं भी किसी इक दिन
तेरे पहलू से अचानक ही सरक जाऊँगा
बात सब आधी-अधूरी ही रहेगी फिर भी
मुझ को हर बात मुकम्मल ही लगेगी फिर भी

- shaan uttarakhandi
1 Like

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by shaan uttarakhandi

As you were reading Shayari by shaan uttarakhandi

Similar Writers

our suggestion based on shaan uttarakhandi

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari