gham ko mere sau guna karte hain tukde kaanch ke
maine yun dil mein saja rakhe hain tukde kaanch ke
aaine si ek ladki khwaab mein aati hai jab
subh meri aankh se jhadte hain tukde kaanch ke
jinki mujhse haisiyat aankhen milaane ki na thi
paanv ke neeche mere ban ke hain tukde kaanch ke
laut jaati hain meri chaukhat se hi tanhaaiyaan
saath kamre mein mere rahte hain tukde kaanch ke
phir muhabbat gar hui to toot kar mat chaahna
khun ke badle dil se bah sakte hain tukde kaanch ke
bhool baitha hoon kahi pe likh ke number apnon ka
poochna tha ye ki ab kaise hain tukde kaanch ke
ek din hota hai apni asliyat se saamna
log phir gusse mein kar dete hain tukde kaanch ke
hansne ki zahmat na karna tootne par tum mere
mujh pe hansne ke liye baithe hain tukde kaanch ke
chal nahin paoge mere saath tum ai gul-badan
is safar mein jaa-b-jaa bikhre hain tukde kaanch ke
ग़म को मेरे सौ गुना करते हैं टुकड़े काँच के
मैंने यूँ दिल में सजा रक्खे हैं टुकड़े काँच के
आइने सी एक लड़की ख़्वाब में आती है जब
सुब्ह मेरी आँख से झड़ते हैं टुकड़े काँच के
जिनकी मुझसे हैसियत आँखें मिलाने की न थी
पाँव के नीचे मेरे बन के हैं टुकड़े काँच के
लौट जाती हैं मेरी चौखट से ही तन्हाईयाँ
साथ कमरे में मेरे रहते हैं टुकड़े काँच के
फिर मुहब्बत गर हुई तो टूट कर मत चाहना
ख़ूँ के बदले दिल से बह सकते हैं टुकड़े काँच के
भूल बैठा हूँ कहीं पे लिख के नंबर अपनों का
पूछना था ये कि अब कैसे हैं टुकड़े काँच के
एक दिन होता है अपनी असलियत से सामना
लोग फिर ग़ुस्से में कर देते हैं टुकड़े काँच के
हँसने की ज़हमत न करना टूटने पर तुम मेरे
मुझ पे हँसने के लिए बैठे हैं टुकड़े काँच के
चल नहीं पाओगे मेरे साथ तुम ऐ गुल-बदन
इस ‘सफ़र’ में जा-ब-जा बिखरे हैं टुकड़े काँच के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SHIV SAFAR
our suggestion based on SHIV SAFAR
As you were reading Bekhabri Shayari Shayari