saans lene ko hi jo zindagi samjhte hain | साँस लेने को ही जो ज़िंदगी समझते हैं - Arman Ahmad

saans lene ko hi jo zindagi samjhte hain
aajkal ke logon ki bebaasi samjhte hain

aap beeti hai meri kaun ye samajhta hai
log dil ke chhaalon ko shaayri samjhte hain

dil kiya zafaayein ki dil kiya wafaaein ki
ishq karne ko bhi vo naukri samjhte hain

yaar ab amaanat hai aur hi kisi ki vo
yaar ham jise apni zindagi samjhte hain

naam bhi mita daala ja tujhe bhula daala
aaj se tujhe ham bhi ajnabi samjhte hain

साँस लेने को ही जो ज़िंदगी समझते हैं
आजकल के लोगों की बेबसी समझते हैं

आप बीती है मेरी कौन ये समझता है
लोग दिल के छालों को शाइरी समझते हैं

दिल किया जफ़ाएँ की दिल किया वफ़ाएँ की
इश्क़ करने को भी वो नौकरी समझते हैं

यार अब अमानत है और ही किसी की वो
यार हम जिसे अपनी ज़िंदगी समझते हैं

नाम भी मिटा डाला जा तुझे भुला डाला
आज से तुझे हम भी अजनबी समझते हैं

- Arman Ahmad
1 Like

Romance Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Arman Ahmad

As you were reading Shayari by Arman Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Arman Ahmad

Similar Moods

As you were reading Romance Shayari Shayari