teen fitnon ka qissa puraana hua | तीन फ़ित्नों का क़िस्सा पुराना हुआ

  - Aale Ahmad Suroor

teen fitnon ka qissa puraana hua
chaar fitnon ka suniye zara maajra

ek lambe hain aalim bhi faazil bhi hain
sach to ye hai ki thode se kaahil bhi hain

sher ka shauq bhi ilm ka zauq bhi
aur gale mein aligarh ka hai tauq bhi

murgh-o-maahi ki rag rag se ye aashna
doston par fida aur ghar se juda

khaane peene ka koi nahin hai nizaam
teer tikke pe chalta hai sab in ka kaam

doosri jo hain padhne mein go tez hain
un ko dekho to bilkul hi angrez hain

raas aaya hai likhne ka chakkar unhen
milte rahte hain ina'am akshar unhen

hain nafasat-pasand aur khalwat-pasand
dosti mein bhi rahti hain kuchh band band

bolti hain to lafzon ka ghaaeb sira
jumla un ka adhoora hi palle pada

teesri tez hai aur har fan mein taq
har ghadi dil-lagi qahqahe aur mazaak

padhti likhti bhi hai aur gaati bhi hai
apni baaton se sab ko lubhaati bhi hai

vaham ye hai ki hain daant mere bade
mujh se poocho to lagte hain moti jade

subh ko roz akhbaar padhti hai ye
bhaai behnon se phir ja ke ladti hai ye

aur chhoti hai gudiya si maasoom si
kuchh to sanjeeda si thodi maghoom si

shart ammaan se kahiye kahaani nayi
ek apni si ladki se hai dosti

ghar sajaane ka us ko bada shauq hai
film ka aur gaane ka bhi zauq hai

sab se milne ki zahmat uthaati nahin
aire-ghaire ko khaatir mein laati nahin

chaar phoolon se gulshan mein apne bahaar
chaar phoolon pe saari bahaarein nisaar

chaar fitne nahin hain ye hain chaar yaar
in se apne ufuq ko lage chaar chaand

in ki kirnon se jag mein ujaala rahe
in ka har bazm mein bol-baala rahe

तीन फ़ित्नों का क़िस्सा पुराना हुआ
चार फ़ित्नों का सुनिए ज़रा माजरा

एक लम्बे हैं आलिम भी फ़ाज़िल भी हैं
सच तो ये है कि थोड़े से काहिल भी हैं

शेर का शौक़ भी इल्म का ज़ौक़ भी
और गले में अलीगढ़ का है तौक़ भी

मुर्ग़-ओ-माही की रग रग से ये आश्ना
दोस्तों पर फ़िदा और घर से जुदा

खाने पीने का कोई नहीं है निज़ाम
तीर तिक्के पे चलता है सब इन का काम

दूसरी जो हैं पढ़ने में गो तेज़ हैं
उन को देखो तो बिल्कुल ही अंग्रेज़ हैं

रास आया है लिखने का चक्कर उन्हें
मिलते रहते हैं इनआ'म अक्सर उन्हें

हैं नफ़ासत-पसंद और ख़ल्वत-पसंद
दोस्ती में भी रहती हैं कुछ बंद बंद

बोलती हैं तो लफ़्ज़ों का ग़ाएब सिरा
जुमला उन का अधूरा ही पल्ले पड़ा

तीसरी तेज़ है और हर फ़न में ताक़
हर घड़ी दिल-लगी क़हक़हे और मज़ाक़

पढ़ती लिखती भी है और गाती भी है
अपनी बातों से सब को लुभाती भी है

वहम ये है कि हैं दाँत मेरे बड़े
मुझ से पूछो तो लगते हैं मोती जड़े

सुब्ह को रोज़ अख़बार पढ़ती है ये
भाई बहनों से फिर जा के लड़ती है ये

और छोटी है गुड़िया सी मासूम सी
कुछ तो संजीदा सी थोड़ी मग़्मूम सी

शर्त अम्माँ से कहिए कहानी नई
एक अपनी सी लड़की से है दोस्ती

घर सजाने का उस को बड़ा शौक़ है
फ़िल्म का और गाने का भी ज़ौक़ है

सब से मिलने की ज़हमत उठाती नहीं
ऐरे-ग़ैरे को ख़ातिर में लाती नहीं

चार फूलों से गुलशन में अपने बहार
चार फूलों पे सारी बहारें निसार

चार फ़ित्ने नहीं हैं ये हैं चार यार
इन से अपने उफ़ुक़ को लगे चार चाँद

इन की किरनों से जग में उजाला रहे
इन का हर बज़्म में बोल-बाला रहे

  - Aale Ahmad Suroor

Ilm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aale Ahmad Suroor

As you were reading Shayari by Aale Ahmad Suroor

Similar Writers

our suggestion based on Aale Ahmad Suroor

Similar Moods

As you were reading Ilm Shayari Shayari