jo maulvi ne kaha tha ik din wahi mukammal bayaan hoon main | जो मौलवी ने कहा था इक दिन वही मुकम्मल बयान हूँ मैं - Prashant Kumar

jo maulvi ne kaha tha ik din wahi mukammal bayaan hoon main
ki qur'a-e-faal mein hua tay khuda ka koii nishaan hoon main

khuda ka banda niraash kyun hai bata to itna udaas kyun hai
agar khuda ka mureed hai tu to tere ghar kii azaan hoon main

tu munsifon se mila hua hai to kaam itna sa aur kariyo
unhen bhi jaakar bata hi dena khudi mein saara jahaan hoon main

nigaah se mat utaar dena na door kariyo kabhu dilon se
sabhi labon par saja ke rakhiyo tumhaari urdu zubaan hoon main

bula rahi hain mujhe vo hooren hua hai ilhaam aashiqi ko
kisoo ne unko bata diya hai azar amar aur jawaan hoon main

tiri nazar kii sukhan-vari mein ajab qayamat dikhaai di hai
ki tauns mein tu gira na dena ghazal ka kaccha makaan hoon main

kabhu khuda ko mita raha hoon kabhu khuda ko bana raha hoon
are kisoo ko bhank nahin hai jahaan mein itna mahaan hoon main

kabhu sitamgar bata raha hai kabhu to aadil bata raha hai
mujhe pahaade padha raha hai ki aankh dekha bayaan hoon main

na poochna tum kisoo se kuchh bhi na sharm karna tarah tarah kii
jo dil kare vo utha ke khaana tumhaari hi to dukaan hoon main

जो मौलवी ने कहा था इक दिन वही मुकम्मल बयान हूँ मैं
कि क़ुर'आ-ए-फ़ाल में हुआ तय ख़ुदा का कोई निशान हूँ मैं

ख़ुदा का बंदा निराश क्यूँ है बता तो इतना उदास क्यूँ है
अगर ख़ुदा का मुरीद है तू तो तेरे घर की अज़ान हूँ मैं

तू मुंसिफ़ों से मिला हुआ है तो काम इतना सा और करियो
उन्हें भी जाकर बता ही देना ख़ुदी में सारा जहान हूँ मैं

निगाह से मत उतार देना न दूर करियो कभू दिलों से
सभी लबों पर सजा के रखियो तुम्हारी उर्दू ज़बान हूँ मैं

बुला रही हैं मुझे वो हूरें हुआ है इल्हाम आशिक़ी को
किसू ने उनको बता दिया है अजर अमर और जवान हूँ मैं

तिरी नज़र की सुख़न-वरी में 'अजब क़यामत दिखाई दी है
कि तौंस में तू गिरा न देना ग़ज़ल का कच्चा मकान हूँ मैं

कभू ख़ुदा को मिटा रहा हूँ कभू ख़ुदा को बना रहा हूँ
अरे किसू को भनक नहीं है जहाँ में इतना महान हूँ मैं

कभू सितमगर बता रहा है कभू तो 'आदिल बता रहा है
मुझे पहाड़े पढ़ा रहा है कि आँख देखा बयान हूँ मैं

न पूछना तुम किसू से कुछ भी न शर्म करना तरह तरह की
जो दिल करे वो उठा के खाना तुम्हारी ही तो दुकान हूँ मैं

- Prashant Kumar
0 Likes

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari