teri duniya mein khuda sab mera nuksaan karein | तेरी दुनिया में ख़ुदा सब मिरा नुक़सान करें

  - Prashant Kumar

teri duniya mein khuda sab mera nuksaan karein
main jidhar jaaun udhar husn pareshaan karein

main ghalat kaam nahin karta khudaaon se kaho
chaar din kii hai meri zindagi aasaan karein

jo bhi aata hai idhar aag laga jaata hai
dil ka aise mein batao kise mehmaan karein

cheen ke baith gaye log zameenen meri
ek roti bhi khilaayein to ab ehsaan karein

dil to kuchh bhi nahin hai jaan-e-tamanna tujhpe
ik dafa sar to hila jaan bhi qurbaan karein

तेरी दुनिया में ख़ुदा सब मिरा नुक़सान करें
मैं जिधर जाऊँ उधर हुस्न परेशान करें

मैं ग़लत काम नहीं करता ख़ुदाओं से कहो
चार दिन की है मिरी ज़िंदगी आसान करें

जो भी आता है इधर आग लगा जाता है
दिल का ऐसे में बताओ किसे मेहमान करें

छीन के बैठ गए लोग ज़मीनें मेरी
एक रोटी भी खिलाएँ तो अब एहसान करें

दिल तो कुछ भी नहीं है जान-ए-तमन्ना तुझपे
इक दफ़ा सर तो हिला जान भी क़ुर्बान करें

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari