lab-e-dariya hoon lekin tishnagi mehsoos karta hoon
main apne ghar mein khud ko ajnabi mehsoos karta hoon
khuda jaane wufoor-e-shauq ka ye kaisa aalam hai
nishaat-o-gham mein yaksaan be-khudi mehsoos karta hoon
kisi se be-takalluf guftugoo hoti hai mehfil mein
magar khilwat mein lafzon ki kami mehsoos karta hoon
kabhi mukhlis kabhi haasid kabhi may-kash kabhi zaahid
hama-soorat main khud ko aadmi mehsoos karta hoon
tere afkaar ki gahraaiyon ka kaun hai munkir
magar afzal main teri shaayri mehsoos karta hoon
लब-ए-दरिया हूँ लेकिन तिश्नगी महसूस करता हूँ
मैं अपने घर में ख़ुद को अजनबी महसूस करता हूँ
ख़ुदा जाने वुफ़ूर-ए-शौक़ का ये कैसा आलम है
निशात-ओ-ग़म में यकसाँ बे-ख़ुदी महसूस करता हूँ
किसी से बे-तकल्लुफ़ गुफ़्तुगू होती है महफ़िल में
मगर ख़ल्वत में लफ़्ज़ों की कमी महसूस करता हूँ
कभी मुख़्लिस कभी हासिद कभी मय-कश कभी ज़ाहिद
हमा-सूरत मैं ख़ुद को आदमी महसूस करता हूँ
तेरे अफ़्कार की गहराइयों का कौन है मुनकिर
मगर 'अफ़ज़ल' मैं तेरी शाइरी महसूस करता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Husain Afzal
our suggestion based on Afzal Husain Afzal
As you were reading Mehfil Shayari Shayari