ehtiyaatan koi jawaab na de
pyaala be-zarf hai sharaab na de
daaira-band mushk-boo ko sada
ai dil-e-khaanumaan-kharaab na de
khaatir-e-zood-ranj rakhta hoon
naa-dameeda koi gulaab na de
haadse mein shareek the kitne
meherbaan jhooth sach hisaab na de
khwaab-e-aslaaf khwaab hai ab tak
az-sar-e-nau mazid khwaab na de
kaar-e-be-sood hai mujhe naahak
qad se ooncha koi khitaab na de
jaanch haalaat ke tanaazur mein
jurm ka faisla shitaab na de
kaun sunta hai kisi ka afzal
roz-o-shab dars-e-inqilaab na de
एहतियातन कोई जवाब न दे
प्याला बे-ज़र्फ़ है शराब न दे
दायरा-बंद मुश्क-बू को सदा
ऐ दिल-ए-ख़ानुमाँ-ख़राब न दे
ख़ातिर-ए-ज़ूद-रंज रखता हूँ
ना-दमीदा कोई गुलाब न दे
हादसे में शरीक थे कितने
मेहरबाँ झूट सच हिसाब न दे
ख़्वाब-ए-अस्लाफ़ ख़्वाब है अब तक
अज़-सर-ए-नौ मज़ीद ख़्वाब न दे
कार-ए-बे-सूद है मुझे नाहक़
क़द से ऊँचा कोई ख़िताब न दे
जाँच हालात के तनाज़ुर में
जुर्म का फ़ैसला शिताब न दे
कौन सुनता है किसी का 'अफ़ज़ल'
रोज़-ओ-शब दर्स-ए-इंक़लाब न दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Husain Afzal
our suggestion based on Afzal Husain Afzal
As you were reading Maikashi Shayari Shayari