shaakh-e-arman ki wahi be-sabri aaj bhi hai | शाख़-ए-अरमाँ की वही बे-सब्री आज भी है - Ahmad Azimabadi

shaakh-e-arman ki wahi be-sabri aaj bhi hai
mojib-e-giriyaa-e-shaam-o-sehri aaj bhi hai

wahi aainaa-b-kaf deeda-wari aaj bhi hai
un mein pehle ki tarah khud-nigari aaj bhi hai

sang-baaron ke liye dard-sari aaj bhi hai
kal garaan thi jo meri sheesha-gari aaj bhi hai

aaj bhi morid-e-ilzaam hai maasoom nigaah
jurm ilzaam se kal bhi tha bari aaj bhi hai

baat dushwaari-e-manzil ki nayi baat nahin
raah pehle bhi thi kaanton se bhari aaj bhi hai

शाख़-ए-अरमाँ की वही बे-सब्री आज भी है
मोजिब-ए-गिरिया-ए-शाम-ओ-सहरी आज भी है

वही आईना-ब-कफ़ दीदा-वरी आज भी है
उन में पहले की तरह ख़ुद-निगरी आज भी है

संग-बारों के लिए दर्द-सरी आज भी है
कल गराँ थी जो मिरी शीशा-गरी आज भी है

आज भी मोरिद-ए-इल्ज़ाम है मासूम निगाह
जुर्म इल्ज़ाम से कल भी था बरी आज भी है

बात दुश्वारी-ए-मंज़िल की नई बात नहीं
राह पहले भी थी काँटों से भरी आज भी है

- Ahmad Azimabadi
0 Likes

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Azimabadi

As you were reading Shayari by Ahmad Azimabadi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Azimabadi

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari