bazaar ki faseel bhi rukhsaar par male | बाज़ार की फ़सील भी रुख़्सार पर मले - Ahmad Azimabadi

bazaar ki faseel bhi rukhsaar par male
dood-e-charaagh jo kisi shoraab se jale

maathe ki bindi haath ki raakhi dua ke bol
beemaar ke qareeb masihaai mein dhale

kaaghaz ki naav toota diya taash ka mahal
apne hain ham-jalees yahi chand manchale

itna to ehtimaam rahe aarti ke saath
gehuun ki fasl ke liye shoraab bhi dhale

ahmad ab aftaab ke andar bhi aaiye
tay ho chuke tamaam ujaalon ke marhale

बाज़ार की फ़सील भी रुख़्सार पर मले
दूद-ए-चराग़ जो किसी शोराब से जले

माथे की बिंदी हाथ की राखी दुआ के बोल
बीमार के क़रीब मसीहाई में ढले

काग़ज़ की नाव टूटा दिया ताश का महल
अपने हैं हम-जलीस यही चंद मनचले

इतना तो एहतिमाम रहे आरती के साथ
गेहूँ की फ़स्ल के लिए शोराब भी ढले

'अहमद' अब आफ़्ताब के अंदर भी आइए
तय हो चुके तमाम उजालों के मरहले

- Ahmad Azimabadi
0 Likes

Kashti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Azimabadi

As you were reading Shayari by Ahmad Azimabadi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Azimabadi

Similar Moods

As you were reading Kashti Shayari Shayari