us paar to khair aasmaan hai
is paar agar dhuaan dhuaan hai
andha hai gareeb khush-gumaan hai
aur saamne khaai hai kuaan hai
deewar-e-kuhan ke zer-e-saaya
baloo ke mahal ki dastaan hai
jaltee hui ret ka sahaara
jaltee hui ret bhi kahaan hai
patthar ki lakeer ke alaava
mitti ka diya bhi darmiyaan hai
har shehar ke zer-e-parda jungle
ahmad ye maqaam-e-imtihaan hai
उस पार तो ख़ैर आसमाँ है
इस पार अगर धुआँ धुआँ है
अंधा है ग़रीब ख़ुश-गुमाँ है
और सामने खाई है कुआँ है
दीवार-ए-कुहन के ज़ेर-ए-साया
बालू के महल की दास्ताँ है
जलती हुई रेत का सहारा
जलती हुई रेत भी कहाँ है
पत्थर की लकीर के अलावा
मिट्टी का दिया भी दरमियाँ है
हर शहर के ज़ेर-ए-पर्दा जंगल
'अहमद' ये मक़ाम-ए-इम्तिहाँ है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Azimabadi
our suggestion based on Ahmad Azimabadi
As you were reading Nature Shayari Shayari