hamraaz-e-raqeeb ho gaye ho
ab mere qareeb ho gaye ho
tum apna makaan bhi ujaalo
taaron ke muneeb ho gaye ho
beemaar-e-ummeed ko dua do
majboor tabeeb ho gaye ho
taaboot mein rooh phoonkne ko
tum izn-e-saleeb ho gaye ho
har parde ke baad ek parda
had darja ajeeb ho gaye ho
sone ki angushtari mein ahmad
angusht-e-ghareeb ho gaye ho
हमराज़-ए-रक़ीब हो गए हो
अब मेरे क़रीब हो गए हो
तुम अपना मकान भी उजालो
तारों के मुनीब हो गए हो
बीमार-ए-उम्मीद को दुआ दो
मजबूर तबीब हो गए हो
ताबूत में रूह फूँकने को
तुम इज़्न-ए-सलीब हो गए हो
हर पर्दे के बाद एक पर्दा
हद दर्जा अजीब हो गए हो
सोने की अंगुश्तरी में 'अहमद'
अंगुश्त-ए-ग़रीब हो गए हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Azimabadi
our suggestion based on Ahmad Azimabadi
As you were reading Dua Shayari Shayari