agar hon goya to phir be-takaan bolte hain | अगर हों गोया तो फिर बे-तकान बोलते हैं - Ahmad Husain Mujahid

agar hon goya to phir be-takaan bolte hain
magar ye log lahu ki zabaan bolte hain

zameen jo paanv ke neeche hai us ka maalik hoon
pe mere naam pe kitne lagaan bolte hain

chhupa na qatl mera ehtiyaat ke baa-wasf
jo us ne chhode nahin vo nishaan bolte hain

zameen pe jab koi mazloom aah bharta hai
sitaare tootte hain aasmaan bolte hain

chhupaaye chhupte nahin haadse jo guzre hon
makin chup hon to ahmad makaan bolte hain

अगर हों गोया तो फिर बे-तकान बोलते हैं
मगर ये लोग लहू की ज़बान बोलते हैं

ज़मीं जो पाँव के नीचे है उस का मालिक हूँ
पे मेरे नाम पे कितने लगान बोलते हैं

छुपा न क़त्ल मिरा एहतियात के बा-वस्फ़
जो उस ने छोड़े नहीं वो निशान बोलते हैं

ज़मीं पे जब कोई मज़लूम आह भरता है
सितारे टूटते हैं आसमान बोलते हैं

छुपाए छुपते नहीं हादसे जो गुज़रे हों
मकीन चुप हों तो 'अहमद' मकान बोलते हैं

- Ahmad Husain Mujahid
0 Likes

Khamoshi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Husain Mujahid

As you were reading Shayari by Ahmad Husain Mujahid

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Husain Mujahid

Similar Moods

As you were reading Khamoshi Shayari Shayari