nahin aasmaan tiri chaal mein nahin aaunga | नहीं आसमाँ तिरी चाल में नहीं आऊँगा

  - Ahmad Mahfuz

nahin aasmaan tiri chaal mein nahin aaunga
main palat ke ab kisi haal mein nahin aaunga

meri ibtida meri intiha kahi aur hai
main shumaara-e-maah-o-saal mein nahin aaunga

abhi ik azaab se hai safar ik azaab tak
abhi rang-e-shaam-e-zawaal mein nahin aaunga

wahi haalate wahi sooraten hain nigaah mein
kisi aur soorat-e-haal mein nahin aaunga

mujhe qaid karne ki zahmatein na uthaiye
nahin aaunga kisi jaal mein nahin aaunga

main khayal-o-khwaab hisaar se bhi nikal chuka
so kisi ke khwaab-o-khayaal mein nahin aaunga

na ho bad-gumaan meri daad-khwaahi-e-hijr se
meri jaan main shauq-e-visaal mein nahin aaunga

नहीं आसमाँ तिरी चाल में नहीं आऊँगा
मैं पलट के अब किसी हाल में नहीं आऊँगा

मिरी इब्तिदा मिरी इंतिहा कहीं और है
मैं शुमारा-ए-माह-ओ-साल में नहीं आऊँगा

अभी इक अज़ाब से है सफ़र इक अज़ाब तक
अभी रंग-ए-शाम-ए-ज़वाल में नहीं आऊँगा

वही हालतें वही सूरतें हैं निगाह में
किसी और सूरत-ए-हाल में नहीं आऊँगा

मुझे क़ैद करने की ज़हमतें न उठाइए
नहीं आऊँगा किसी जाल में नहीं आऊँगा

मैं ख़याल-ओ-ख़्वाब हिसार से भी निकल चुका
सो किसी के ख़्वाब-ओ-ख़याल में नहीं आऊँगा

न हो बद-गुमाँ मिरी दाद-ख़्वाही-ए-हिज्र से
मिरी जाँ मैं शौक़-ए-विसाल में नहीं आऊँगा

  - Ahmad Mahfuz

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mahfuz

As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mahfuz

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari