us se rishta hai abhi tak mera | उस से रिश्ता है अभी तक मेरा - Ahmad Mahfuz

us se rishta hai abhi tak mera
vo ilaqa hai abhi tak mera

kis tavakko ne jagaaya tha mujhe
khwaab taaza hai abhi tak mera

kya bataaun main lab-e-dariya se
kuch taqaza hai abhi tak mera

kahi yak dasht hawa chamakti thi
shehar andha hai abhi tak mera

ik zara khud ko sametoon to chaloon
kaam faila hai abhi tak mera

wahi sehra hai wahi ranj-e-safar
wahi qissa hai abhi tak mera

उस से रिश्ता है अभी तक मेरा
वो इलाक़ा है अभी तक मेरा

किस तवक़्क़ो ने जगाया था मुझे
ख़्वाब ताज़ा है अभी तक मेरा

क्या बताऊँ मैं लब-ए-दरिया से
कुछ तक़ाज़ा है अभी तक मेरा

कहीं यक दश्त हवा चमकती थी
शहर अंधा है अभी तक मेरा

इक ज़रा ख़ुद को समेटूँ तो चलूँ
काम फैला है अभी तक मेरा

वही सहरा है वही रंज-ए-सफ़र
वही क़िस्सा है अभी तक मेरा

- Ahmad Mahfuz
0 Likes

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mahfuz

As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mahfuz

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari