zakham khaana hi jab muqaddar ho
phir koi phool ho ki patthar ho
main hoon khwaab-e-giraan ke narghe mein
raat guzre to ma'arka sar ho
phir ghaneemon se be-khabar hai sipaah
phir aqab se numood lashkar ho
kya ajab hai ki khud hi maara jaaun
aur ilzaam bhi mere sar ho
hain zameen par jo gard-baad se ham
ye bhi shaayad falak ka chakkar ho
us ko taabeer ham karein kis se
vo jo hadd-e-bayaan se baahar ho
dekhna hi jo shart thehri hai
phir to aankhon mein koi manzar ho
ज़ख़्म खाना ही जब मुक़द्दर हो
फिर कोई फूल हो कि पत्थर हो
मैं हूँ ख़्वाब-ए-गिराँ के नर्ग़े में
रात गुज़रे तो मा'रका सर हो
फिर ग़नीमों से बे-ख़बर है सिपाह
फिर अक़ब से नुमूद लश्कर हो
क्या अजब है कि ख़ुद ही मारा जाऊँ
और इल्ज़ाम भी मिरे सर हो
हैं ज़मीं पर जो गर्द-बाद से हम
ये भी शायद फ़लक का चक्कर हो
उस को ताबीर हम करें किस से
वो जो हद्द-ए-बयाँ से बाहर हो
देखना ही जो शर्त ठहरी है
फिर तो आँखों में कोई मंज़र हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz
our suggestion based on Ahmad Mahfuz
As you were reading Phool Shayari Shayari