log kahte the vo mausam hi nahin aane ka | लोग कहते थे वो मौसम ही नहीं आने का - Ahmad Mahfuz

log kahte the vo mausam hi nahin aane ka
ab ke dekha to naya rang hai veeraane ka

banne lagti hai jahaan sher ki soorat koi
khauf rehta hai wahi baat bigad jaane ka

hum ko aawaargi kis dasht mein laai hai ki ab
koi imkaan hi nahin laut ke ghar jaane ka

dil ke patjhad mein to shaamil nahin zardee rukh ki
rang achha nahin is baagh ke murjhaane ka

kha gai khoon ki pyaasi vo zameen hum ko hi
shauq tha koocha-e-qaatil ki hawa khaane ka

लोग कहते थे वो मौसम ही नहीं आने का
अब के देखा तो नया रंग है वीराने का

बनने लगती है जहाँ शेर की सूरत कोई
ख़ौफ़ रहता है वहीं बात बिगड़ जाने का

हम को आवारगी किस दश्त में लाई है कि अब
कोई इम्काँ ही नहीं लौट के घर जाने का

दिल के पतझड़ में तो शामिल नहीं ज़र्दी रुख़ की
रंग अच्छा नहीं इस बाग़ के मुरझाने का

खा गई ख़ून की प्यासी वो ज़मीं हम को ही
शौक़ था कूचा-ए-क़ातिल की हवा खाने का

- Ahmad Mahfuz
0 Likes

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mahfuz

As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mahfuz

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari