yahan se to ab raasta hi nahin | यहाँ से तो अब रास्ता ही नहीं

  - Ahmad Mahfuz

yahan se to ab raasta hi nahin
to kya koi aage gaya hi nahin

udhar ki hi shaayad khabar kuchh mile
udhar ka to koi pata hi nahin

wahi shehar jis ka bahut shor tha
suna hai kuchh ab bolta hi nahin

kahaan tak yun hi khud ko dete sada
wahan to koi aur tha hi nahin

यहाँ से तो अब रास्ता ही नहीं
तो क्या कोई आगे गया ही नहीं

उधर की ही शायद ख़बर कुछ मिले
उधर का तो कोई पता ही नहीं

वही शहर जिस का बहुत शोर था
सुना है कुछ अब बोलता ही नहीं

कहाँ तक यूँ ही ख़ुद को देते सदा
वहाँ तो कोई और था ही नहीं

  - Ahmad Mahfuz

Akhbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mahfuz

As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mahfuz

Similar Moods

As you were reading Akhbaar Shayari Shayari