fenkte sang-e-sadaa dariyaa-e-veeraani mein ham | फेंकते संग-ए-सदा दरिया-ए-वीरानी में हम

  - Ahmad Mahfuz

fenkte sang-e-sadaa dariyaa-e-veeraani mein ham
phir ubharte daayra-dar-daayra paani mein ham

ik zara yoonhi basar kar len giraa-jaani mein ham
phir tumhein shaam-o-sehar rakkhenge hairaani mein ham

ik hawa aakhir uda hi le gai gard-e-wujood
sochie kya khaak the us ki nigahbaani mein ham

vo to kahiye dil ki kaifiyyat hi aaina na thi
warna kya kya dekhte is ghar ki veeraani mein ham

mahv-e-hairat the ki be-mausam nadi paayaab thi
bas khade dekha kiye utre nahin paani mein ham

us se milna aur bichadna der tak phir sochna
kitni dushwaari ke saath aaye the aasaani mein ham

फेंकते संग-ए-सदा दरिया-ए-वीरानी में हम
फिर उभरते दायरा-दर-दायरा पानी में हम

इक ज़रा यूँही बसर कर लें गिराँ-जानी में हम
फिर तुम्हें शाम-ओ-सहर रक्खेंगे हैरानी में हम

इक हवा आख़िर उड़ा ही ले गई गर्द-ए-वजूद
सोचिए क्या ख़ाक थे उस की निगहबानी में हम

वो तो कहिए दिल की कैफ़िय्यत ही आईना न थी
वर्ना क्या क्या देखते इस घर की वीरानी में हम

महव-ए-हैरत थे कि बे-मौसम नदी पायाब थी
बस खड़े देखा किए उतरे नहीं पानी में हम

उस से मिलना और बिछड़ना देर तक फिर सोचना
कितनी दुश्वारी के साथ आए थे आसानी में हम

  - Ahmad Mahfuz

Nadii Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mahfuz

As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mahfuz

Similar Moods

As you were reading Nadii Shayari Shayari