uthiye ki phir ye mauqa haathon se ja rahega | उठिए कि फिर ये मौक़ा हाथों से जा रहेगा - Ahmad Mahfuz

uthiye ki phir ye mauqa haathon se ja rahega
ye kaarwaan hai aakhir kab tak ruka rahega

zakhamon ko ashk-e-khoon se sairaab kar raha hoon
ab aur bhi tumhaara chehra khila rahega

band-e-qaba ka khulna mushkil bahut hai lekin
lekin khula to phir ye uqda khula rahega

sargarmi-e-hawaa ko dekha hai paas dil ke
is aag se ye jungle kab tak bacha rahega

khulti nahin hai ya rab kyun neend raftagaan ki
kya hashr tak ye aalam soya pada rahega

yaksar hamaare baazu shal ho gaye hain ya-rab
aakhir daraaz kab tak dast-e-dua rahega

उठिए कि फिर ये मौक़ा हाथों से जा रहेगा
ये कारवाँ है आख़िर कब तक रुका रहेगा

ज़ख़्मों को अश्क-ए-ख़ूँ से सैराब कर रहा हूँ
अब और भी तुम्हारा चेहरा खिला रहेगा

बंद-ए-क़बा का खुलना मुश्किल बहुत है लेकिन
लेकिन खुला तो फिर ये उक़्दा खुला रहेगा

सरगर्मी-ए-हवा को देखा है पास दिल के
इस आग से ये जंगल कब तक बचा रहेगा

खुलती नहीं है या रब क्यूँ नींद रफ़्तगाँ की
क्या हश्र तक ये आलम सोया पड़ा रहेगा

यकसर हमारे बाज़ू शल हो गए हैं या-रब
आख़िर दराज़ कब तक दस्त-ए-दुआ' रहेगा

- Ahmad Mahfuz
0 Likes

Khwab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mahfuz

As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mahfuz

Similar Moods

As you were reading Khwab Shayari Shayari