yun hi kab tak oopar oopar dekha jaaye
gehraai mein kyun na utar kar dekha jaaye
tez hawaaein yaad dilaane aayi hain
naam tira phir ret pe likh kar dekha jaaye
shor hareem-e-zaat mein aakhir utha kyun
andar dekha jaaye ki baahar dekha jaaye
gaati maujen shaam dhale so jaayengi
baad mein saahil pehle samundar dekha jaaye
saare patthar meri hi jaanib uthte hain
un se kab mahfooz mera sar dekha jaaye
यूँ ही कब तक ऊपर ऊपर देखा जाए
गहराई में क्यूँ न उतर कर देखा जाए
तेज़ हवाएँ याद दिलाने आई हैं
नाम तिरा फिर रेत पे लिख कर देखा जाए
शोर हरीम-ए-ज़ात में आख़िर उट्ठा क्यूँ
अंदर देखा जाए कि बाहर देखा जाए
गाती मौजें शाम ढले सो जाएँगी
बाद में साहिल पहले समुंदर देखा जाए
सारे पत्थर मेरी ही जानिब उठते हैं
उन से कब 'महफ़ूज़' मिरा सर देखा जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz
our suggestion based on Ahmad Mahfuz
As you were reading Masti Shayari Shayari